Main mubarik baad pesh keta hoon Umm-e-Usman Sahiba ko k unhon ne ik inteha'i ahem mauzoo ko chuna hai. Aaj k daur main jab mauseeqi ki waba chahar soo phail chuki hai, aur her khas-o-aam ka is say bachna muhal ho gaya hai, bilkhusoos naujawan tabqa to poori tereh is ki lapait main a chuka hai, is pe turra ye k is galazet ko aaj ka raushan khayal tabqa nauzubillah rooh ki ghiza ka unwan qarar deta hai, aur kahin art, culture, heritage, aur fun ka label laga ker is ghalazet ko musalmanon per halal kerne ki koshish ki jati hai, jis qaum ka naghma quran tha, rooh ki ghiza namaz thee aaj usi qaum k naojawan haton main guitar liyay hooway hain, shaitan k tareeqon pe chalnay ko raushan khayali ka nam de diya hai, deen-e-Islam ki ghairet o hamiyyet ka janazah nikel chuka hai aur insaniyyet ik bay gauro o kafen lash ki manind apni bay basi ka moonh bolta suboot hai... aisay main is terah ki kawish tapti dopeher main ik bad-e-naseem kay jhaunkay kay mutradif hai, Allah Tabarik Wata'ala muhtirma kay ilm aur amel main izafa ferma'en, (Jazakuhumullahu Khair) Muhammad Azhar Babar)
Main mubarik baad pesh keta hoon Umm-e-Usman Sahiba ko k unhon ne ik inteha'i ahem mauzoo ko chuna hai. Aaj k daur main jab mauseeqi ki waba chahar soo phail chuki hai, aur her khas-o-aam ka is say bachna muhal ho gaya hai, bilkhusoos naujawan tabqa to poori tereh is ki lapait main a chuka hai, is pe turra ye k is galazet ko aaj ka raushan khayal tabqa nauzubillah rooh ki ghiza ka unwan qarar deta hai, aur kahin art, culture, heritage, aur fun ka label laga ker is ghalazet ko musalmanon per halal kerne ki koshish ki jati hai, jis qaum ka naghma quran tha, rooh ki ghiza namaz thee aaj usi qaum k naojawan haton main guitar liyay hooway hain, shaitan k tareeqon pe chalnay ko raushan khayali ka nam de diya hai, deen-e-Islam ki ghairet o hamiyyet ka janazah nikel chuka hai aur insaniyyet ik bay gauro o kafen lash ki manind apni bay basi ka moonh bolta suboot hai... aisay main is terah ki kawish tapti dopeher main ik bad-e-naseem kay jhaunkay kay mutradif hai, Allah Tabarik Wata'ala muhtirma kay ilm aur amel main izafa ferma'en, (Jazakuhumullahu Khair)
ReplyDeleteMuhammad Azhar Babar)